Kaise main Quran ko Hifz kar sakta hoon bina Madrasa jaaye huwe, kisi bhi umar mein kya yeh mumkin hai ? ji ha InshaAllah yeh mumkin hai agar hum pukhta irada karey to . Chahey hamari umar kitni bhi pahuch gayi ho phir bhi InshaAllah is Quran ko hum hifz kar saktey hai . Mai yeh bhi inshaAllah zikr karunga ki bahut zyada tough job ya business mai rehtey huey bhi kis tarah sey aap is Quran ko Hifz kar saktey hai . yeh Bahut Aasan hai . Allah subhana hu wa taala farmatey hai وَلَقَدْ يَسَّرْنَا الْقُرْآنَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِن مُّدَّكِرٍ Wa laqad yassarnal-Qur'ana lizzikri fahal mim muddakir Aur humne yaqeenan Quran ko naseehat ke liye aasan banaya, to kya hai koi naseehat hasil karne wala? Yeh aayat yeh batati hai ke Allah ne Quran ko hifz aur samajh ke liye aasan banaya hai. Isliye, hum sab is ko asani se yaad aur amal kar sakte hain. Mai aagey zikr karta chalunga ki humey start kahan sey karna hai . Agar aapko Arabi mai Quran padna zara b...
lets learn arabic
ReplyDelete