رَبِّ اشْرَحْ لِي صَدْرِي وَيَسِّرْ لِي أَمْرِي وَاحْلُلْ عُقْدَةً مِنْ
لِسَانِي يَفْقَهُوا قَوْلِي
Assalam u aleykum wa rahmat Allahu wa barkathu ….
Maine quran ki aayat padi – ya ayyuhalazina aamanu takullah
waquloo qawlan sadeeda ..
Ae logo jo musalman ho Allah se daro aur sach aur seedhi baat
kaho,,,,to inshallah mai is par amal karne ki koshish karunga aaj ki is meeting
mai …
Pechley mahiney se is mahiney tak jab last waqt hamari baat
Islamic school ya home school ko lekar hui thi tab se ab tak – yaani bas is
pichle ek mahiney mai ummat mai bahut hi baichaine ki si kaifiyyat ho gayi hai
…aap behtar jaantey hai iski wajah nrc aur cab ka jo mudda chal raha hai
,,,aajkal kuch log jihad ke liye tayyari kar rahey hai , aurton aur bacho ko
bhi is mai shaamil karne ki baat ho rahi hai , bahut se musalmano ko maar diya
gaya hai kuch jail mai band hai kuch khabrey aisi bhi hai jismey police nai
musalmano ko uthaya hai ghar se aur unka kuch pata nahi ,,,,,la hawla wala
quwatta illa billah ,,,bagair Allah ki marzi k ek ek choti si movement bhi nahi
ho sakti ,,,hum sab jaantey hai bukhari ki wo hadees jismey Muhammad saw ne
peshangoi ki thi ki yeh sab tumharey upar tut padengey jab tumhare andar
ye do cheez a jayegi hub ub duniya aur
akrahul maut (duniya ki chahat aur maut ka darr). Duniya ki chahat ne humey ek
samandar ke upar chalne wala jhaag bana diya jo lehar aati hai usey apne saath
le jaati hai usme kuda kadkad sab shaamil hai..
Islami taleem ke saath bhi kuch aisa hi hua mai apna example
batata hu aur ye aap sab ne bhi shayad experience kiya ho …mujhe yaad hai mere
parents nai mujhey apni haisiyat se zyada mahengey school mai admission karaya
‘frank Anthony public school’ aaj agar aap isme admission karayengey to aapko
bahut donation deni padegi…aur quran padaney ke liye free mai masjid ke maulana
ke paas bhejte jo agar ek galti ho jaati to humko dandey se peettey mere dil
mai choti umar mai ek nafrat paida ho gayi inke khilaaf,,,phir dusrey maulana
jo ghar aakar padatey jab mai unhey dekhta to bahana bana kar bhag jata, jab wo
mujhe uska matlab hi nahi bata rahey to mai kyu padu, sab kehtey namaaz pado
issey tumhey rizq milega to mere ek dost ne mujhse kaha ki namaz padney se to
kuch ho hi nahi raha “Mujhey kya mila aaj tak aur usney namaaz padni chod di to
mainey bhi chod di.”Christian school mai humey maza aata unka culture unkey
aqaid sab bahut achhey lagtey ,,24, 25 aur31 dec, mai school parties hoti ,
then farewell parties jisme dance music sab hota annual function school song
,,sports day fancy dress . etc.etc..
Muhammad saw ne kaha agar tumme haya nahi to phir jo marzi
karo. Unhoney yeh bhi kaha haya imaan ka hissa hai. To is school ne mere andar
se haya khatam kar di. Galiyan dena , geebat , namima (scandal) sab maine yahin
se hi seekha. Farewell parties mai non-veg hota tha humey kuch farq nahi padta
tha ki halal hai ya haram. School ke bahar group mai non muslim bachey beer aur
sharab latey apne gharo se chura kar. Ye sab kuch chalta tha.yahan..school ke
baad jinhoney higher studies ki halaki wo weaker students the unko achii jagah
job mil gayi. Jab practically agar aap chahey kisi bhi school se ho agar aap
interview mai apne aap ko presentable nahi bana saktey to aap ko job nahi
milegi. Aap higher studies karengey to aapko upper position milegi generally,
even meri company mai jo government school se passed out hai wo mujhse upar
post par hai. To school ek base hota hai baaki aap after schooling kya subject
lete hai wahan se phir aapko option miltey hai. Us sey aap aagey badtey hai.
Agar hum peeche dekhein
qurtuba, codoroba spain ki taraf , is waqt ki sabse badi
universities wahan thi jaise log aaj
oxford aatey hai padney ke liye waise qurtuba aatey they . Quran, fiqh ,
aqeedah padney ke saath saath wo mathematics , medicines etc. bhi padtey the aur phir usko islami nazariye
se dekhtey. Aur phir Alhamdulillah bahut se scholars paide huey jinhoney bahut
si invention ki. Mathematics mai sifar yaani zero yahin se aaya. Imam ibn
qayyim ne Muhammad saw ki hadees aur greek medicine ko milaya aur book likhi
tibbe nabwi jo aaj tak padi jaati hai.To hamara agenda bhi yahi hai
inshallah.Mai thoda sa Islamic studies ke baarey mai batana chahunga ki humein
kaise padana hai aur kin kin cheezo par zyada focus karna hai …
1.
Arabic
– humein focus karna hai main classical Arabic mai. Aur isey thoda sa practical
banana hai jaise chote chote sentence ke saath, jaise masmuk, min ayna anta,
ana min al hindi , kaifa haluka taaki
chotey bacho ko iska taste pata lagey aur is mai wo interest le.
2.
Fiqh
– chotey level se fiqh ki choti choti ruling unko pata ho namaz , zakah , hajj
, aur unhey thoda sa yeh bhi pata ho ki kis wajah se difference of opinion hota
hai scholars ke beech positive way mai. Phir sab sunnat ke mutabik duaein unhe
yaad ho. Aur usool ul fiqh yaani dynamic fiqh kis tarah se har waqt yeh apply
hoga. Iske principal kya hai. For ex- music, birthday , banking , etc.. kya
Muhammad saw ke time par bhi ye cheezey thi ya yeh aaj ki cheezey us sey
different hai Yeh chotey , chotey
assignment research karne ke liye unko di jaye.
3.
Tilawat
– mai unhe tajweed ki basic ruling malum ho ,,ikhfa , idhgham, iqlaab , izhar ,
qalqala etc. meem ki rulings.aur atleast last para hifz.
4.
Aqeedah
– mai unhe pata ho ki tawheed kya hai – tawheed ar roboobiyyah , tawheed al
ibadah , tawheed wal isma wa sifaat kya hai . shirk kya hai . Malaikah aur jinn
kya hai ..
5.
Sirat
un nabawi – kyuki bacho ko stories bahut achi lagti hai. To seerah unhe pata ho
aur uske saath fiqh us seerah yaani seerah ki understanding , aaj ke halaat mai
iski kaise samajhna hai aur nabi ki life se examples nikalney unko aatey ho. To
yeh hai fiqh us seerah.
6.
Then
story book mai story of prophets , stories of sahaba and sahabiyaat .
7.
Bacho
ko cartoon bahut pasand hai to wo apna bahut sa waqt isme barbaad kartey hai .
to Islamic cartoons stories wagerah unhe yahin dikhayi jaye – muslim kids tv
mai pehley bata chukka hu.
8.
Then
wrestling or martial arts boys alag, girls alag inkey chotey chotey competition
ho , training ho . Inko yahin sikhaya jaye atleast inki normal exercises. Kyuki
jung e khandaq mai aurtein bhi Muhammad saw
ke saath thi aur unhoney bhi barabar saath diya tha. Then swimming if possible unko horse ki sawari karai jaye
bahar le jakar aur yeh sab sunnah hai.Atleast mahiney mai ek baar ,,isme fun
bhi hai aur yeh sunnah bhi hai..
9.
Mai
isey home schooling isliye kehta tha kyuki – kids school kholney ke liye ya
phir normal schools kholney ke liye – humein bahut si govt. formalities puri
karni padti hai …phir approval milta hai. Starting mai hum yeh keh rahe hai ki
hamare yahan wo bachey aatey hai jo school nahi jaatey aur home schooling
kartey hai to hum unki help karte hai yaani kind of tution center. Agar
inshallah hum 10th aur 12th tak padaney mai kamyaab huey
to students apna exam nios ya phir mai recommend karunga igcse se dekar wo
aagey inshallah apna career bana sakte hai. Muhammad saw ne kaha cheezo aasan
banaya karo aur mushkiley na paida kiya karo.
10.
Mission
of school aur iski tagline – Quran humein encourage kata hai ki hum apne aas paas
ke halaat ko dekhey aur samjhne ki koshish karey. Hamara mai goal hai “FALAH”
ek balance attitude qayam karna. Na hi duniya ke peechey shiddat se bhagna aur
na hi isey puri tarah se chor dena.
Falah- difficult to find one word in English to
define it • Derived from the Arabic flt,
aflah, yuflihu
To strive to become happy, to be
successful, to strive to be in a better position
Fi duniya wal akhirah –
This world – survival, freedom from
wants and power and honor
Hereafter – eternal survival, without
poverty, freedom, eternal prosperity, everlasting glory, knowledge free of all
ignorance
Taken from surah muminoon Allah
describes –
- Qad aflahal mu'minoon
- Allazeena hum fee Salaatihim khaashi'oon
- Wallazeena hum 'anillaghwimu'ridoon
- Wallazeena hum liz Zakaati faa'iloon
- Wallazeena hum lifuroo jihim haafizoon
- Illaa 'alaaa azwaajihim aw maa malakat aimaanuhum fa innahum ghairu maloomeen
- Famanib taghaa waraaa'a zaalika fa ulaaa'ika humul 'aadoon
- Wallazeena hum li amaanaatihim wa 'ahdihim raa'oon
- Wallazeena hum 'alaa Salawaatihim yuhaafizoon
- Ulaaa'ika humul waarisoon
- Allazeena yarisoonal Firdawsa hum feehaa khaalidoon
Subhan Allahi wa bi hamdi wa nashau allah ilaha illah wa
ashadu anna Muhammad abduhu wa rasoolu hu …
Sab log apna apna points rakh dey one by one ….
Comments
Post a Comment