Kaise main Quran ko Hifz kar sakta hoon bina Madrasa jaaye huwe, kisi bhi umar mein kya yeh mumkin hai ?
Kaise main Quran ko Hifz kar sakta hoon bina Madrasa jaaye huwe, kisi bhi umar mein kya yeh mumkin hai ?
ji ha InshaAllah yeh mumkin hai agar hum pukhta irada karey to . Chahey hamari umar kitni bhi pahuch gayi ho phir bhi InshaAllah is Quran ko hum hifz kar saktey hai . Mai yeh bhi inshaAllah zikr karunga ki
bahut zyada tough job ya business mai rehtey huey bhi kis tarah sey aap is Quran ko Hifz kar saktey hai .
yeh Bahut Aasan hai . Allah subhana hu wa taala farmatey hai
وَلَقَدْ يَسَّرْنَا الْقُرْآنَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِن مُّدَّكِرٍ
Wa laqad yassarnal-Qur'ana lizzikri fahal mim muddakir
Aur humne yaqeenan Quran ko naseehat ke liye aasan banaya, to kya hai koi naseehat hasil karne wala?
Yeh aayat yeh batati hai ke Allah ne Quran ko hifz aur samajh ke liye aasan banaya hai. Isliye, hum sab is ko asani se yaad aur amal kar sakte hain.
Mai aagey zikr karta chalunga ki humey start kahan sey karna hai .
Agar aapko Arabi mai Quran padna zara bhi nahi aata aur ab apki umar itni ho gayi ki aap madrasa ya masjid bhi nahi jaa saktey ya jaana nahi chahtey to bhi aap mayoos na ho .
Meri har baat par aap tawajjo farmaye aur InshaAllah isko amal mai layengey tabhi aap isko hifz kar saktey hai . Sabsey pehley humey apney saara din key routine par dhayan dena hai aur yeh sochna hai ki 24 ghanto mai sey kis waqt mai 30 minutes nikal sakta hu , Chahey wo phir raastey ka hi waqt kyu na ho jis waqt aap office ya phir aap travel kar rahey hotey hai . Yeh sabsey mufeed time ho sakta hai .
Agar aap ko Quran padna bhi nahi aata ya phir kacha pakka aata hai sabsey pehley aapko Noorani Qaida order kar lena hai apney liye english urdu ya phir kisi bhi zabaan mai . aap islamicbooksonline.co.in sey bhi order kar saktey hai . Phir aapko you tube par Noorani Qaida ka ek course search karkey isko achey sey pad ley to atleast apko huruf ki pehchaan ho jayegi , week mai do din aap mujhsey bhi class ley saktey hai online.
Ya phir aap udemy sey online course purchase kar lijiye bahut kam rate par aapko mil jayega , Ya phir aap you tube par to bahut courses free mai available hai .
Uskey baad aapko tajweed sikhni hai yaani harf ko pronounce kaisey karna hai , usey tajweed kehtey hai . uskey liye bhi aap online course ley lijiye ya phir you tube aur udemy.com sey course ley lijiye . Aur book apko kharidni hai yasarnal Quran ya phir Qurani Qaida inkey course you tube par mil jayengey free mai . Baaki mai InshaAllah week mai atleast do baar koi doubt hoga to clear kar dunga.
QURAN TO MAI THEEK THEEK PAD LETA HU MAGAR YAAD KAISEY KARU , KYUKI WAQT KI KAMI HAI MEREY PAAS ?
Humney apni Zindagi mai har cheez ko manage kiya hai ab Quran hifz karney key liye aapko sabsey pehley time management seekhni hai . Aur Shaitaan yaad rahey aapko yeh kaam churwaney ki tamam
koshish karega. Bas give up nahi karna hai . Sawab aapki Niyat par milega aapko . Time management ka ek example deta hu pehley .
Imam ibn e Qayyim (rahimhu Allah) ki mashoor kitabb hai zaad al Maad yeh kitaab unhoney safar key dauraan hi likhi thi yeh kitab aaj ki taarikh mai 5 volumes par mushtamil hai . isme Rasool Allah (S.A.W) ke zindagi ke har pehlu ko bohot hi asan aur waazeh tareeqe se bayan kiya gaya hai.
Apko bhi aisey waqt ka sahi istemaal karna hai socho kahan sey aap waqt nikal saktey hai 20 -25 minutes ka .
khali waqt mai bas Quran ki tilawat hi sunni hai alag alag qaari ki . aap 30th para sey yaad karna shuru kijiye . Uska tareeqa hai ki aap pehley phone mai koi Quran reading wala aap install kar lijiye . Subah key waqt fajar key baad apko yaad karna hai , Chahey aap agar morning walk kartey hai to bhi aapko yeh us dauran hi ek line padni hai aur yaad kar leni hai , For example aap is 30 minutes ki walk mai Insha Allah 2-3 aayat aaram sey yaad kar lengey Insha Allah .
Isko dusrey din bhi dohraye jab tak ki aapko achi tarah rat na jaye. Dohraney ka tarika hai ki aap isi aayat ko namazo mai pado . saari namazo mai bhi padengey to koi harj nahi . Subah ka waqy kyu choose karan hai , iskey baarey mai ek hadees hai .
اللَّهُمَّ بَارِكْ لأُمَّتِي فِي بُكُورِهَا
Allahumma baarik li-ummati fi bukooriha
"Allahummah meri ummat ke liye subah ke waqt mein barkat ata farma."
Quran ke saath hone wale se kaha jayega: "Parh aur charta ja aur is tarah tarteel se parh jaise tu duniya mein parhta tha, tere maqam ka darja us aakhri aayat par hoga jo tu parhega."
Comments
Post a Comment